Zakhmi Hai Sakina Lyrics - Farhan Ali Waris
Let’s Check Out The Zakhmi Hai Sakina Lyrics, Recited by Farhan Ali Waris. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mazhar Abidi.
Title
Zakhmi Hai Sakina
Recited By
Written By
Mazhar Abidi
Zakhmi Hai Sakina Lyrics in English
Chalna Chahoon To Chala Bhi Nahi Jata
Paon Zakhmi Ye Uthta Hi Nahi Mera
Sona Chahoon To Soya Bhi Nahi Jata
Pusht Zakhmi Hai Zakhmo Se Hai Khoo Behta
Saans Leti Hoon To Dukhti Hain Pasliyan
Dadi Zahra Ki Tarhan, Tootin Hain Pasliyan
Rukhsar Mere Zakhmi
Kaano Se Lahoo Jari
Bunde Bhi Chhine Mere
Kurta Bhi Jala Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Baba, Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Dhoondti Phirti Thi Mein Aap Ka Lasha Baba
Ek Zalim Ne Mujhe Rok Ke Mujhse Poocha
Dhoondti Kis Ko Hai Baba Ka Tere Naam Hai Kya
Mere Baba Hain Hussain Ibn e Ali Meine Kaha
Phir Ghaiz Mein Woh Aaya
Chehre Pe Mujhe Mara
Reti Pe Gira Daala
Mein Kehti Rahi Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Raah Mein Chalte Huwe Qafla Thehraya Gaya
Pani Le Kar Jo Wahan Shimr e Laeen Aaya Tha
Apne Lashkar Ko Wahan Pani Se Seraab Kya
Pani Dikhla Ke Mujhe Sara Wahin Phenk Diya
Phir Hans Ke Woh Kehta Tha
Piyasa Tujhe Rakhunga
Balon Ko Mere Khencha
Or Khoon Rasa Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Pusht Zakhmi Hui Sajjad Ki To Meine Kaha
Haye Maaro Na Usae Bhai Hai Bemaar Mera
Sun Ke Aawaz Meri Shimr Meri Samt Badha
Bhai Ko Chod Diya Phir Woh Sitam Mujh Pe Kiya
Mara Mujhe Tamacha
Chehre Se Lahoo Nikla
Woh Haath Sitamgar Ka
Bhaari Tha Bara Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Kha Ke Zalim Ke Tamache Mujhe Ghash Aata Tha
Phir Tamacho Se Hi Woh Hosh Mein Le Aata Tha
Hans Ke Kehta Tha Bula Baba Ko Ammu Ko Bula
Jitna To Roye Gi Utna Hi Tujhe Marunga
Phir Dil Mera Ghabraya
Or Jism Bhi Tharraya
Yeh Haal Mera Dekha
Na Reham Kya Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Mera Nannah Sa Gala Rassi Se Bandhwaya Gaya
Mujh Ko Panjoo Pe Kabhi Kaanto Pe Chalwaya Gaya
Tez Chalte Huwe Naqoo Se Bhi Girwaya Gaya
Sar Ba Rehna Mujhe Bazaar Mein Phirwaya Gaya
Thi Itni Thakan Baba
Paon Bhi Na Uthta Tha
Us Waqt Jo Ghash Aaya
Aaise Jagaya Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Jab Mein Zindan Se Rehae Ki Khabar Paoungi
Dadi Zahra Ki Mein Turbat Pe Chali Jaoungi
Apni Tooti Hui Pasli Unhe Dikhlaongi
Chaar Saala Mein Zaeefa Hoon Yeh Batlaongi
Hum Dono Hain Mazlooma
Ek Jaisa Hai Ghum Apna
Zalim Ne Jo Rulwaya
Dono Ne Kaha Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Kaisa Woh Mazhar o Farhan Tha Ghum Ka Manzar
Qaid Khane Mein Sakina Ko Mila Baba Ka Sar
Roi Kuch Der Woh Moon Baba Ke Moon Per Rakh Kar
Bas Yehi Kehte Huwe Kar Gaye Duniya Se Safar
Yeh Aakhri Jumla Tha
Ab Sabr Nahi Hota
Sar Rone Laga Shah Ka
Beti Ne Kaha Baba
Haye Itna Mujhe Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina
Baba
Mere Baba
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon