Ali Hasst Lyrics - Irfan Haider
Let’s Check Out The Ali Hasst Lyrics, Recited by Irfan Haider & Nad E Ali. It is a New Noha of the Year 2021. Its Beautiful Lyrics Are Written By Akhtar Abbas Zaidi.
Title
Ali Hasst
Recited By
Written By
Akhtar Abbas Zaidi
Ali Hasst Lyrics in English
Ya Ali, Ya Ali
Mere Mola Mola
Mola Mola Mola, Haider
Meri Dharhkan Se Meri Sanson Se
Mere Lehje Se Meri Baton Se
Mere Khoon Ke Har Ik Qatre SE
Bas Aik Sada Yeh Ati Hai, Ali Ali
Chalti Hai Isi Naam Se Sanson Ki Rawani
Fani Hai Jahan Aur Jo Hai La Fani
Ali Hasst
Laraib Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Qalb E Momin Pe Tujhe Rab Ne Utara Ya Ali
Kon Hai Tu Yeh Bata Hum Ko Khudaya Ya Ali
Kya Haqeeqat Hai Teri Ae Mere Mola Ali
Phoolon Ne Kaha Haider
Kalion Ne Kaha Haider
Nabiyon Ne Kaha Haider
Waliyon Ne Kaha Haider
Han Asshad Un Anna Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Laraib Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Hukm E Yazdan Se Tere Ishq Ko Pa Kar Mola
Raj Karta Hai Tere Dar Ka Gadaar Mola
Jo Ali Ka Na Huwa Woh Kisi Ka Na Huwa
Sultan Mera Haider
Emaan Mera Haider
Quran Mera Haider
Armaan Mera Haider
Allah O Nabi Dono Ki Taqat Ba Khuda
Ali Hasst
Laraib Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Kon Ali Woh Ali Jo Habblullah Al Mateen Hai
Woh Ali Jo Mustafa Ke Qalb Ka Makeen Hai
Woh Ali Jo Langar E Aasman O Zameen Hai
Woh Ali Jo Kainaat Mein Sab Se Haseen Hai
Ali Hasst
Yeh Haqeeqat Bhi Hai Tareekh Ke Seene Pe Raqam
Dosh E Sarkar Pe Sarkar Ke Dekhe Jo Qadam
Aasman Jhoom Utha Bol Uthi Khalq E Khuda
Ay Rashk E Qamar Haider
Ghazi Ke Padar Haider
Uncha Tera Ghar Haider
Tahad E Nazar Haider
Farman E Muhammad Hai Keh Sab Ka Mola
Ali Hasst
Laraib Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Zaib Deti Hai Tujhe Teri Barai Ya Ali
Nokri Raas Jise Thi Teri Aai Ya Ali
Us Ki Thokar Mein Jahan Wali E Kon O Makaan
Makhdoom E Jinaan Haider
Masjood E Zamaan Haider
Mamdooh E Zuban Haider
Maktoob E Azaan Haider
Kya Khaof E Qaza Us Ko Wazeefa Jis Ka
Ali Hasst
Laraib Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Ya Ali Izzat Ullah Bhi Tu
Wajh Ullah Bhi Tu
Asad Ullah
Janb Ullah
Kaabatullah Bhi Tu
Haibat Ullah Bhi Tu
Qudratullah Bhi Tu
Ghairat Ullah
Jurrat Ullah
Soorat Ullah Bhi Tu
Ali Hasst
Tere Munkir Pe Khudawand E Jali Ki Lanat
Fatima Zehra O Hasnain O Nabi Ki Lanat
Dushman E Shair E Khuda Teri Dozakh Hai Saza
Ay Shah E Najaf Haider
Taqdeer Baqa Haider
Kabay Ke Sharaah Haider
Tu Charon Taraf Haider
Sad Shukr Azal Se Hai Mere Dill Pe Likha
Ali Hasst
Laraib Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Tum Se Razi Hain Ali Akhtar O Irfan E Aza
Charcha Dono Ka Barabar Hai Sar E Arsh O Olaa
Haq E Zehra Ki Qasam Yeh Sada Aur Qalam
Hai Teri Ata Haider
Tum Sab Se Juda Haider
Hum Tujh Pe Fida Haider
Ae Aks E Khuda Haider
Hum Ashiq E Haider Hain Hamara Nara
Ali Hasst
Laraib Ali Hasst
Ali Un Wali Ullah
Ali Hasst
Rahe Ga Wajh E Khuda, Kullo Man Alaiha Faa
Rahe Ga Farsh E Aza, Kullo Man Alaiha Faa
Jo Bhi Tha Jo Bhi Hai Jo Ho Ga Woh Fani Hai Magar
Rahe Ga Zikr Tera, Kullo Man Alaiha Faa
Ali Hasst
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon