Hussain Razi Rahe Lyrics - Ameer Hasan Aamir
Let’s Check Out The Hussain Razi Rahe Lyrics, Recited by Ameer Hasan Aamir. It is a New Noha of the Year 2023. Its Beautiful Lyrics Are Written By Shanawar Makanpuri.
Title
Hussain Razi Rahe
Recited By
Written By
Shanawar Makanpuri
Hussain Razi Rahe Lyrics in English
Haidar ka mujiza husain
Zahra ka mahe laqa husain
Mafhom e karbla husain
Hai huq ka rahe numa husain
Tafseer inama husain
Zikr me fikr me rahta hai husain
Zehan me qalab me chah gaya husain
Hai yon khuda se husain raazi
Hr ek raza se husain raazi
Husain raazi husain raazi husain raazi
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rhe ghar me mere farsh e aza
Husain raazi bus husain raazi rhe
Zamana rothe ya phir chote koi bhi rishta
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Ye majlisen ye aza khane aur ye farsh e aza
Sabilen aur tabruk ko batne ka maza
Husain ke hi liye sab hai aur ye mansha
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza

Ya husain ya husain
Ya husain ya husain
Gaye wo ran ki taraf jab husain ne chah
Sipahi haq ke samjhte the falsfa rab.ka
Wahi wo karte rhe jo husain kahta rah
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Ye apne bacho ko maaon ne tarbiyat di hai
Gham e husain manao ye pursa daari hai
Jio husain ke gham me ye baap ne bhi kah
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Ya husain ya husain
Ya husain ya husain
Subhana rabilala rasool padhte rahe
Ke unki pusht pe jab tak husain baithe rhe
Bina husain kamil nahi koi sajda
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Husain dil hai husain jaa;n hai
Dilon ki dhadkan me bhi rawan hai
Tapish me gham ki ye sayeban hai
Husain tauheed ki zubaan hai
Khuda ka kalma jahn jah;n hai
Husain mera wahn wahn hai
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Padho ziyarat e maula khuda ko raazi karo
Suno husain suno gar padho husain padho
Aza ke farsh pe baitho khuda se mango dua
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Ya husain ya husain
Ya husain ya husain
Kahin pe bhai ke bazo kahin bahen ke pisar
Khuda ki raah me di hai jawani e akbar
Jis imtehan me laati rahi khuda ki raza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Yahi nijaat ka zariya banega mahshar me
Sir apna fakhar se uncha rahga mahshar me
Ab is khaiyaal se badh kar bhi aur kya hoga
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Ya husain ya husain
Ya husain ya husain
Husain tu jo nahi hai tu ghar nahi kuch bhi
Kate jo ishq me tere to sir nahi kuch bhi
Habib ibn e mazahir ki dusti ne kah
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Kiya husain ne aamir tujhe safeer e aza
Ata se un ki me shayer e ahlebait hoa
Khuda se paon shanawar me khidmaton ka sila
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Hamesha bichta rahe ghar me mere farsh e aza
Bus husain razi rahe husain husain razi rahe
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon