Ali Walon Ko Ali Mubarak Lyrics - Syed Raza Abbas Zaidi
Let’s Check Out The Ali Walon Ko Ali Mubarak Lyrics, Recited by Syed Raza Abbas Zaidi. It is a New Manqabat of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Ali Walon Ko Ali Mubarak
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Ali Walon Ko Ali Mubarak Lyrics in English
Ali Ali Ali Ali Mola
Aaye Aaye Mola
Khushiyan Laye Mola
Han Hamaray Mola
Pholon Ka Mehekna, Ali Mola
Taron Ka Chamakna, Ali Mola
Badal Ka Garajna, Ali Mola
Ali Ali Ali Ali Mola
Ali Mola Mola Mola, O Mola
Ali Mola
Ali Walon, Ali Walon, Ali Walon, Ali Walon
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Ali Ke Makan Me Ali Ke Taraf Se
Ali Ka Ali Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Ali Badshah Ke Jeyalon Ke Din Hain
Qasiday Sunao Dhamalon Ke Din Hain
Koi Puchhe Kehna Ali Aa Rahe Hain
Gharon Ko Sajao Ujalon ke Din Hain
Hamari Khushi Main Jesay Moot Aaaye
Ussay Khud Kushi Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Wo 13 Rajab Wo Kaabay Ka Manzar
Milne Ali Se Jab Aaye Peyamber
Ali Ko Muhammad Ke Haathon Main De Kar
Ye Bint e Asad Ne Kaha Muskura Kar
Khuda Ke Nabi Tum Ko
Wasi Ja Nashi Or Damad Bhi Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Koi Ja Ke Marhab Se Jab Larna Paaya
Alam Le Ke Khaiber Main Ik Mard Aaya
Main Haider Hon Haider Bas Itna Bata Kar
Sar Ik War Main Jab Ali Ne Udaya
Jo Marhab Ke Dar Se Chhope The Wo Bole
Bala Tal Gai Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Ali Hai Mola Ham Divane
Ali Hai Shama Ham Parwane
Ali Ke Jaisa Koi Nahi Hai
Koi Mane Ya Na Mane
Khuda Tera Inkar Kaise Karon Main
Ali Ne Kaha Hai Toi Khamosh hon
Tu Har She Pe Kadir Hai Main Manta Hon
Magar Tu Bata De Usse Kya Kahun Main
Jo Thokar Se Murde Jila Kar Sada De
Nai Zindagi Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Ali Ali Ali Ali Ali Ali
Ali Mola Ali Mola Ali Ali
Ik Aarsh Se Taara Nikla
Behlol Sa Deevana Tha
Zehra Ki Marzi Le Kar
Ik Chokhat Par Jana Tha
Jab Shehr e Madina Pohncha
Kuchh Log The Jinko Dekha
Wo Jhoom Jhoom Ke Dhoom Dhoom Ke
Un Ke Dil Jalata Tha
Kaabay Ke Jaisa, Ali Ali
Ik Ghar Jab Dekha, Ali Ali
Us Ghar Me Sabka Mola Rehta Tha
Huwa Phir Yun Koi Khush Tha Koi Kahin Roya
Dar e Murtaza Par Sitaray Ne Aa Kar
Jab Aawaz Di Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Dulhan Bhi La Jawab Hai
Dulha Bhi La Jawab Hai
Dulhan Hain Bibi Fatima
Dulha Abu Turab Hai
Khushi Se Muhammad Ka Chehra Khila Tha
Ali Or Zehra Ka Rishta Huwa Tha
Kahin Din Ke Aarma Bahe Aanso'on Main
Kahin Rang Chehre Ka Badla Huwa Tha
Ye Imran Ne Jab Muhammad Se Aa Kar
Kaha Ya Nabi Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Ali Sab Ke Mola Hain Sun Kar Nabi Se
Gale Mil Rahe The Sab Aa Kar Ali Se
Ye Hans Kar Abuzar Se Salman Bole
Chalo Pass Ja Kar Kahin Shaikh Ji Se
Yahan Kyun Khare Hain Sharafat Se Ja Kar
Kahain Ya Ali Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Badi Aarzoo Hai Ke Wo Din Bhi Dekhen
Ali Ki Ho Mehfil Ali Ke Haram Main
Najaf Ki Zameen Par Qasida Ye Sun kar
Hame Daad De Kar Ali Khud Ye Bolen
Raza Or Zeehan Hamaray Haram Main
Tumhe Nokri Mubarak Ho
Ali Walon Ko Ali Mubarak Ho
Nabi Ko Wasi Mubarak Ho
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon