Jab Ali Aa Gaye Lyrics - Sibt e Jaffar
Let’s Check Out The Jab Ali Aa Gaye Lyrics, Recited by Sibt E Jaffar. It is a New Manqabat of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Sibt E Jaffar.
Title
Jab Ali Aa Gaye
Recited By
Written By
Sibt E Jaffar
Jab Ali Aa Gaye Lyrics in English
Momino Ko Mubarak
Ali Aagaye
Jab Ali Aagaye Zindagi Aagai
Zindagi Bandagi Roshni Aagai
Roshni Aagai Aagahi Aagai
Mout Tere Mohibon Ko Aati Nahi
Aa Bhi Jaye To Phir Bachke Jaati Nahi
Mout Ka Kya Khatar Mout Se Kya Hazar
Is Se Bachna Bhi Kya Aagai Aagai
Ghusl e Mayyat Na Kehna Mere Ghusl Ko
Ujl e Malboos Ko Mat Kafan Naam Do
Main Chala Hon Ali Se Mulakat Ko
Jiski Thi Aarzoo Wo Ghadi Aagai
Jiska Mola Tha Main Uska Mola Ali
Jab Nabi Ne Kaha Deen Kamil Huwa
Marhaba Mustafa Rab Bhi Razi Huwa
Wo Joh Aana Thi Aayat Wohi Aagai
Jibrail Aur Qambar Par Kya Munhisar
Dar Tera Chod Kar Koi Jaata Nahi
Jo Ghulami Ka Teri Maza Pagaya
Raas Jisko Teri Nokari Aagai
Maslak e Ishq Main Mangna Aaib Hai
Main Bhi Khamoosh Hoon Woh Bhi Khamosh Hain
Unko Sab Hai Khabar Is Liye Chup Hon Main
Kya Huwa Aankh Main Gar Nami Aagai
Khums Dena Muwadat Ki Ik Shart Hai
Aur Na Dena Bhi Misl e Fidak Hai Gunah
Haq e Sadat E Zehra Ke Makroz Se
Jab Tabarah Suna To Hasi Aagai
Teri Masnad Pe Ghairon Ko Bithla Diya
Naib e Mustafa Mazhar e Kibriya
Tu Ali o Wasi o Ali Hi Raha
Manzilat Mein Teri Kya Kami Aagai
Humke Sarshar Ishq o Tawala Main The
Jante Hi Na The Nafrat o Dushmani
Ye Tabarah Bhi Wallah Kya Cheez Hai
Hum Ko Aghiyar Se Dushmani Aagai
Ishq Jab Tak Na Ho Sher Hota Nahi
Mujh Main Kab Ehliyat Thi Teri Madha Ki
Mere Mola Main Qurban Tere Ishq Ke
Sibt e Jaffar Ko Bhi Shayri Aagai
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon