Akhri Waar Lyrics - Syed Raza Abbas Zaidi
Let’s Check Out The Akhri Waar Lyrics, Recited by Syed Raza Abbas Zaidi. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Zeeshan Abidi.
Title
Akhri Waar
Recited By
Written By
Zeeshan Abidi
Akhri Waar Lyrics in English
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Pyase Shabbir Ke Zakhmi Ke Honton Pe Tha
Naam Abbas Ka Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Zair e Khanjar Tha Bhai Ka Sokha Gala
Kuchh Qadam Dor The Zainab e Aliya
Bhai Kehta Raha Lout Jao Behan
Khushk Gardan Pe Jis Waqt Khanjar Chala
Dekh Kar Phehla Waar Aaise Zainab Girin
Shimar Hasta Raha Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Youn To Sattar (70) Qadam Pe The Zainab Khari
Kuch Qadam Aage Bali Sakina Bhe The
Apne Baba Ke Seene Pe Soti Thi Jo
Larkharate Howe Khak Pe Girgayi
Baap Ko Dekh Kar Beti Roti Rahi
Shimar Seene Pe Tha Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Khainchta Tha Kabhi Reesh Shabbir Ki
Marta Tha Woh Hans Kar Tamacha Kabhi
Paon Rakhta Tha Zakhmo Pe Shabbir Ke
Our Kabhi Jism Par Marta Tha Chhuri
Khon Hi Khon Tha Zakhm Hi Zakhm The
Itna Mara Gaya Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Shimar Se Shah Ka Jab Gala Na Kata
Pas Sannan Ibn e Ans Aa Gaya
Mar Kar Neza Shabbir Ke Halq Mein
Aaise Khaincha Hoi Zulm Ki Inteha
Aa Gayin Sath Mein Sari Sokhi Ragein
Neza Uljha Raha Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Bugz Kitna Tha Ibn e Ali Se Osse
Shimar Jaldi Mein Tha Pehle Hi Waar Se
Ran Mein Woh Dono Hathoon Se Masroof Tha
Aik Pyase Ka Sar Katne Ke Liye
Osske Ik Hath Mein Taigh Our Dosra
Hath Baloon Mein Tha Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Aik Maa Gaud Mein Rakh Ke Betay Ka Sar
Kab Se Bethi Hai Yeh Shimar Ko Kya Khabar
Sath Shabbir Ke Fatima Ka Lahu
Beh Ke Khanjar Se Girta Raha Khak Par
Kat Gayin Ungliyaan Phir Bhi Sar Na Bacha
Hath Maa Ne Rakha Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Aye Raza Our Zeeshan Dekho Zara
Karbala Mein Hai Mojood Woh Qatal Ga
Baith Kar Aaj Rote Hain Zair Jahan
Kal Wahan Shah Ka Koi Apna Na Tha
Sab Tamashai The Dekhte Hi Rahe
Sheh Ka Katta Gala Aakhri Waar Tak
Ran Mein Shabbir Ko Zibha Karte Hoye
Shimar Ne Khud Suna Aakhri Waar Tak
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon