Zakhmi Zuljinah Lyrics - Nadeem Sarwar
Let’s Check Out The Zakhmi Zuljinah Lyrics, Recited by Nadeem Sarwar. It is a New Noha of the Year 2004. Its Beautiful Lyrics Are Written By Rehan Azmi.
Title
Zakhmi Zuljinah
Recited By
Written By
Rehan Azmi
Zakhmi Zuljinah Lyrics in English
Zakhmi Zuljanah
Mera Maan Jaya Hai Kahan
Chorh Aya Tu Kahan
Teeron Ky Darmian
Zakhmi Zuljanah...
Zainab Ka Dill To Pehly Sy Zakhmi Hai Zuljanah
Akbar Ky Gham Ki Seeny Mein Barchi Hai Zuljanah
Zakhmi Badan Liye Aya Hai Kis Liye
Karta Hua Fughan
Zakhmi Zuljanah...
Ay Gham Naseeb Zakhmi Badan Zuljanah Bata
Saye Mein Mera Bhai Tha Jab Zeen Sy Gira
Khanjar Tha Jab Qareeb Pani Hua Naseeb
Ya Khushk Thi Zubaan
Zakhmi Zuljanah...
Ek Dopehr Mein Apny Bhary Ghar Ko Roi Hun
Hurr Ko Habib Ko Ali Asghar Ko Roi Hun
Abbas Ki Qasam Shabbir Ka Yeh Gham
Uthy Ga Ab Kahan
Zakhmi Zuljanah...
Ay Rahwar Tu To Wafadar Hai Bahut
Apny Sawar Sy To Tujhy Pyar Hai Bahut
Yeh Kis Ka Hai Lahu Khamosh Kiun Hai Tu
Chup Hai Teri Zubaan
Zakhmi Zuljanah...
Kulsoom Aao Madar E Akbar Ho Tum Kahan
Fizza Urhao Khak Qayamat Hui Ayaan
Bhai Ko Chorh Kar Apny Lahu Mein Tarr
Aya Hai Noha Khuwan
Zakhmi Zuljanah...
Qadmon Py Tery Bali Sakina Ny Sar Rakha
Ay Zuljanah Dasht Mein Baba Ko Ly Na Ja
Woh Kaisy Soye Gi Ghabra Ky Roye Gi
Hai Tera Imtehan
Zakhmi Zuljanah...
Ly Chal Wahan Jahan Dill E Zehra Ka Chain Hai
Jalti Hui Zameen Py Jis Jaa Hussain Hai
Main Zakhm Dho’un Gi Gurbat Py Ro’un Gi
Ly Ly Ky Hichkian
Zakhmi Zuljanah...
Gardan Jhukaye Sunta Raha Woh Wafa Sha’aar
Rehan Lab Kusha Hua Sarwar Ka Rahwaar
Ay Zainab E Hazin Main Bewafa Nahi
Shahid Hai Yeh Azan
Zakhmi Zuljanah...
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon