Zuljanah Noha Lyrics - Mesum Abbas
Let’s Check Out The Zuljanah Noha Lyrics, Recited by Mesum Abbas. It is a New Noha of the Year 2020. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mazhar Abidi.
Title
Zuljanah Noha
Recited By
Written By
Mazhar Abidi
Zuljanah Noha Lyrics in English
Dooba Lahu Me Laut Ke Aaya Jo Zuljanah
Samjhi Sakina Baba Ko Laya He Zuljanah
Dekhi Jo Zeen Khaali To Karne Lagi Ye Ban
Zuljanah, Zuljanah
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Jo Gaya He Ghar Se Aa Nahi Saka, Haye Zuljanah
Shaam Hogaye He Din Guzar Gaya, Haye Zuljanah
Kyun Teri Bage Kateen Zulm Kya Huwa
Khoon Se Tar He Jabeen Zulm Kya Huwa
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Kyun He Zeen Khali Baba He Kahaan, Haye Zuljanah
Pusht Kyun He Zakhmi Khoon He Rawaan, Haye Zuljanah
Mere Baba Ke Wafadar Kuch Bata
De Mujhe Sabr Aur Karaar Kuch Bata
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Teer He Badan Pr Tere Ja Ba Ja, Haye Zuljanah
Kyun Nahi Batata Kya Sitam Huwa, Haye Zuljanah
Teri Khamoshi Me He Gham Ki Kya Khabar
Kya Me Samjhun Ke Juda Hogaye Padar
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Haath Jorh Kar Me Keh Rahi Thi Na, Haye Zuljanah
Ji Sakungi Kayse Baap Ke Bina, Haye Zuljana
Ab Jo Dunya Me Mere Baba Na Rahe
Kon Seene Pe Sulaye Ga Ab Mujhe
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Uth Gaya Jo Sar Se Saya E Padar, Haye Zuljanah
Soye Gi Sakina Kayse Khaak Pr, Haye Zuljanah
Shimr Le Jayega Ab Baliya Meri
Haye Saadat Ki Chadar Bhi Chinegi
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Qatl Ho Gaya Kya Fatima Ka Laal, Haye Zuljanah
Ye Dukhi Sakina Ho Ke Pur Malaal, Haye Zuljanah
Tujh Se Ro Ro Ke Kar Rahi Thi Ilteja
Mere Baba Ko Suu E Dasht Na Leja
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Har Taraf He Laashe Har Taraf Laho, Haye Zuljanah
Dhundu Me Padar Ko Kayse Charsu, Haye Zuljanah
Ayse Bedard Laeno Ke Darmiyaan
Tu Bata Laashe Padar Paaungi Kahaan
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Bayn Bekhata Ke Sun Ke Ro Diya, Haye Zuljanah
Sar Jhuka Ke Apna Ran Ko Chal Diya, Haye Zuljanah
Kya Kahein Mesum Aur Mazhar Abidi
Keh Ke Ye Khaak Par Sakina Gir Gayi
Zuljanah, Zuljanah Kuch Toh Bata Mujhko Zuljanah
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon