Nadeem Sarwar
Rehan Azmi
Al ajaal labayk-e mola
Sari dunya me ujalaa, noor ka hojayenge
Khanaaye kaaba ki chath par ek alam lehrayenga
Jab Mola Aayenge...
Dekhene ek roz manzar istarha ka aayenga
Aey azadaro sunoge jald maula ki sadaa
Qayaame ale-Muhammad Askari ka mehlaqa
Aa raha hay aaraha hay marhaba sad-e marhaba
Majlis-e Shabbir me ab shor girya dekhena
Pursadaro farshe gham par apna mawla dekhna
Jab Mola Aayenge...
Surkh andhiyan uthengi phir samajh me aayenga
Jiski dunya muntazir thi phir wo manzaar aayenga
Mosame insaaf laykar mera mawla aayega
Kufr hujron me chupega darbadar ho jayegaa
Mukhtasir lashkar imaame Asr ka cha jayega
Jab Mola Aayenge...
Aayega jab Haideri talwar ka wo virsa daar
Dekhna Chalti hay kaise teghe shaire kirdigaar
Phir zamino aasmaa tak ek hi hogi pukaar
Shahe marda shere yazdaan quwatte parwardigaar
La fataa ilaa Ali lah saif illa zulfiqar
Jab Mola Aayenge...
Dekhena istarh Maula majlisain karwayenge
Majliso me Karbala wale bulaye jayenge
Naraye Haidar lagega Panjatan jub ayaange
Dekhene un majliso me har shaheed aa jayenga
Phir to wo mataam karenge asmaan hiljayenga
Jab Mola Aayenge...
Chand Narjis ka falaak se jab zamin par aayega
Aayenge saare farishte Auliya or Ambhiya
Aabe kawsar ki sabilain tab lagengi ja baja
Unke aate hi sitaraa khud zamin par aayenge
Dekhena shehre khamosha me diye jaljayenge
Jab Mola Aayenge...
Akbaro Abbas Qasim ke liye girya kuna
Royange matam karenge jub imam-e insojaan
Fatema Zehra ki aayegi ye awaaz-e fughaan
Aey gharibo be watan aey karbala wale Hussain
Teray Nana kar rahay hain teri mazloomi pe bain
Jab Mola Aayenge...











