Aey Mere Be Zabaan Lyrics - Mir Hasan Mir
Let’s Check Out The Aey Mere Be Zabaan Lyrics, Recited by Mir Hasan Mir. It is a New Noha of the Year 2020. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mir Takallum.
Title
Aey Mere Be Zabaan
Recited By
Written By
Mir Takallum
Aey Mere Be Zabaan Lyrics in English
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Chehra Woh Chand Jaisa Kaise Bhulaye Maa
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Kya Waqt Aa Gaya Hai Bano Ki Bekasi Par
Ghurbat Pe Teri Matam Kaisay Karey Gi Madar
Aada Ne Bandh Di Hain Hathoon Mein Rasiyaan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Himmat Pe Maa Tumhari Qurban Kyun Na Jaye
Sunti Hoon Teer Kha Kar Tum Ran Mein Muskuraye
Madar Ki Laaj Rakh Li Shabash Meri Jaan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Madar Ki Hai Wasiyat Beta Khiyal Rakhna
Godi Mein Inn Ki Asghar Jane Ki Zid Na Karna
Pehle Hi Hain Shikasta Dadi Ki Pasliyaan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Kya Zair e Khak Ab Bhi Soye Ho Munh Chupaye
Maa Sari Bibiyon Se Sharminda Ho Na Jaye
Har Ik Shaheed Ka Hai Sar Bar Sar e Sina
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Dushwar Ho Gaya Hai Gham Mein Tumhare Jeena
Ab Khali Gaud Ja Kar Maa Kya Kare Madina
Mujh Ko Wahin Bula Lo Aye Lal Ho Jahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Sansein Tu Chal Rahi Hain Zindah Kahan Rahi Hai
Maa Zindagi Se Apni Aazadi Chahti Hai
Mushkil Kusha Ho Tum Bhi Khulwa Do Beriyaan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Jungal Mein Aik Beta Aawaz Gonjti Hai
Yeh Soch Kar Bhi Madar Maqtal Mein Ro Rahi Hai
Lagta Hai Dard Se Tum Lete Ho Siskiyaan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Ye Ujari Gaud Beta Kaise Sakon Paye
Halat Pe Teri Maa Ki Hanstay Hai Sham Wale
Daman Mein Hain Tumhare Jholay Ki Lakriyaan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Rote Thy Sab Takallum Ik Maa Ne Jab Kaha Tha
Paigham Karbala Mein Ja Kar Howa Yeh Dena
Zindaan Ke Dar Pe Ab Bhi Bethi Hai Aik Maa
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Aey Mere Be Zabaan Tum Reh Gaye Kahan
Asghar Jiye Gi Kaise Tere Beghair Maa
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon