Jab Mere Ghar Mai Alam Hai To Alamdar Bhi Ho Lyrics - Mesum Abbas
Let’s Check Out The Jab Mere Ghar Mai Alam Hai To Alamdar Bhi Ho Lyrics, Recited by Mesum Abbas. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Kaleem Asghar Bijnori.
Title
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Recited By
Written By
Kaleem Asghar Bijnori
Jab Mere Ghar Mai Alam Hai To Alamdar Bhi Ho Lyrics in English
Ya Rab Mere Ya Rab
Sakhi Abbas Jari Ya Ilahi Mujhe De
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Ek Jari Chaahiye Taarikh e Shujaa’at Ke Liye
Karbala Mein Mere Shabbir Ki Nusrat Ke Liye
Aur Na Munh Se Payambar Ki Hifaazat Ke Liye
Ya Ilaahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Shukr Sad Shukr Tera Shabbar o Shabbir Diye
Betiyaan Ki Hai Ata Zainab o Kulsoom Mujhe
Baad Iske Meri Bas Aik Dua Ke Badle
Ya Ilaahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Aaina Sabr o Shujaat Ka Bana Na Mera
Hu Bahu Meri Hi Tasweer Ho Baccha Mera
Usko Dekhoon To Nazar Aaye Sarapa Mera
Ya Ilahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Sakhi Abbas Jari Ya Ilahi Mujhe De
Koi Beyar o Madadgaar Agar Hojaye
Iltaja Behre Madad Apni Zabaan Par Laye
Mujko Awaaz Koi De Wo Madad Ko Aaye
Ya Ilahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Zindagi Jiski Guzar Jaye Alamdaari Me
Apne Baazoo Bhi Kata De Jo Fidakaari Me
Sabse Aage Nazar Aaye Jo Wafadaari Me
Ya Ilahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Naam Uska Ho Jin Hoton Pe Wahan Pyas Na Ho
Koi Umeed Na Toote Koi Be Aas Na Ho
Yaad Karke Use Tanhai Ka Ehsaas Na Ho
Ya Ilahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Sakhi Abbas Jari Ya Ilahi Mujhe De
Mere Maalik Mere Honthhon Pe Jab Aayi Ye Dua
Meri Aankhon Mein Nazar Aane Lagi Karbobala
Mera Shabbir Musibat Mein Kharaa Hay Tanhaa
Ya Ilahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Jab Woh Karbal Mein Ho Chawbhees Pehel Ka Pyaasa
Har Kadam Par Use Isaar Ka Jazba Dena
Aur Mere Laal Ke Haathonko Salaamat Rakhna
Ya Ilahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Ae Kaleem Hogayi Maqbool Duaa-e-haidar
Usko mesum Kaha Hai Fatema Zehra Ne Pisar
Arzu Ki Thi Ali Ne Jo Huzur e Daawar
Ya Ilahi Mujhe Abbas Sa Beta Dede
Jab Mere Ghar Main Alam Hai To Alamdar Bhi Ho
Sakhi Abbas Jari Ya Ilahi Mujhe De
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon