Abbas Ko Pukaro Lyrics - Farhan Ali Waris
Let’s Check Out The Abbas Ko Pukaro Lyrics, Recited by Farhan Ali Waris. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mazhar Abidi.
Title
Abbas Ko Pukaro
Recited By
Written By
Mazhar Abidi
Abbas Ko Pukaro Lyrics in English
Ghazi To Hai Na Un Se Hi Kehna
Ae Dunya Walo Dar Dar Na Jaao
Kya Gham Hai Tum Ko Aa Kar Sunao
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Ya Hazrat e Abbas Mere Gham Ki Dawa Do
Mera Bhi Koi Hai Ye Zamane Ko Bata Do
Babul Hawaij Alamdar Alamdar
Kehta Hai Alam Ham Se
Maus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Dunya Se Nahi Mango Kya De Gi Tumhain Dunya
Allah Ne Rakha Hai Umeed Ka Ik Rasta
Dehleez Se Ghazi Ki Hojao Jo Wabasta
Tu Rasta Zainab Ka Phir Kaam Bane Sab Ka
Abbas Ko Pukaro
Babul Hawaij Alamdar Alamdar
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Dil Tota Huwa Ho To Apno Ko Bulata hai
Dukh Apne To Har Koi Apno Se Hi Kehta Hai
Apno Ki Preshani Apna Hi Samajta Hai
Wo Sab Ka Sahara Hai Apno Se bhi Pyara Hai
Abbas Ko Pukaro
Ya Hazrat e Abbas Mere Gham Ki Dawa Do
Mera Bhi Koi Hai Ye Zamane Ko Bata Do
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Ik Pyasi Bhatiji Ki Ammu Se Guzarish hai
Ham Sab Ki Duaon main Ye Mashq Sifarish hai
Samjho To Ataon Ki Din Raat Jo Barish hai
Rad Ho Gi Dua Kaise Ammu Hai Sakina Ke
Abbas Ko Pukaro
Babul Hawaij Alamdar Alamdar
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Monh Mod Liya Sab Ne Kya Chhod Diya Sab Ne
Halat Se Tang Aake Dil Chhota Nahi Karte
Abbas Ki Soorat Main Ik Aas To baki Hai
Har Gham Se NaKale Ga Sene Se Laga Le Ga
Abbas Ko Pukaro
Ya Hazrat e Abbas Mere Gham Ki Dawa Do
Mera Bhi Koi Hai Ye Zamane Ko Bata Do
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Jo DIl Pe Guzarti Hai Har Baat Batani Hai
Bimaari Pareshani Sab Inko Sunani Hai
Mainne To Har Ik Manat Abbas Se Mangi hai
Maus Na Jaao Ge Jo Manga Wo Pao Ge
Abbas Ko Pukaro
Babul Hawaij Alamdar Alamdar
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Tufan e Hawa Jis Se Ghabrana Nahi Logo
Aghiyar Ki Chokhat Pe Tum Jana nahi Logo
Tum Ne Mere Ghazi Ko Pehchana Nahi Logo
Kar De Ga Meharbani Jaisi Ho Pareshani
Abbas Ko Pukaro
Ya Hazrat e Abbas Mere Gham Ki Dawa Do
Mera Bhi Koi Hai Ye Zamane Ko Bata Do
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Har Dil Ki Muradon Ko Sunta Hai Mera Ghazi
Jo Mango Aqeede Se Deta hi Mera Ghazi
Sath Apne Muhibon Ke Rehta Hai Mera Ghazi
Taqdeer Ki Ho Kashti Aa Jaye Jo Tangdasti
Abbas Ko Pukaro
Babul Hawaij Alamdar Alamdar
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Maslak Hai Wafadari FItrat Main Jalali Hai
Ye Apni Sakhawat Main Dunya Main Misali Hai
Kab Baat Faqeeron Ki Is Sher Ne Tali Hai
Lab Hilne nahi Pain Or Jholian Bhar Jayen
Abbas Ko Pukaro
Ya Hazrat e Abbas Mere Gham Ki Dawa Do
Mera Bhi Koi Hai Ye Zamane Ko Bata Do
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Farhan Aqeeda Ye Maa Baap Se Paya hai
Abbas Ki Chokhat Pe Sar Sab Ne Jhokaya Hai
Likh Likh Ke Zamane Ko Mazhar Ne Bataya hai
Aa Jaye Koi Mushqil Ghabraye Bohat Jab Dil
Abbas Ko Pukaro
Babul Hawaij Alamdar Alamdar
Kehta Hai Alam Ham Se
Mayus Na Ho Gham Se
Abbas Ko Pukaro
Ghazi To Hai Na Un Se Hi Kehna
Ya Hazrat e Abbas Mere Gham Ki Dawa Do
Mera Bhi Koi Hai Ye Zamane Ko Bata Do
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon