Mesum Abbas
Mazhar Abidi
Shio’n Mai Aaj Kal Ye Qayamat Ke Roz Hain
Duniya Se Buturab Ke Rukhsat Ke Roz Hain
Yaaro Saron Ko Peeto Ye Zarbat Ke Roz Hain
Rolo Ke Ye Ali Ki Shahadat Ke Roz Hain
Agaye Ayyam e Ali Agaye
Momino Matam Karo Sar Peet Ke
Agaye Ayyam e Ali Agaye
Chand Bhi Ramzan Ka Noha Kare
Agaye Ayam e Ali Agaye
Kaale Libaason Mai Hai Ahle Aza Ki Fughan
Yaum e Shahadat Ki Sab Karte Hain Tayyariyan
Yaad Karain Matami Aap Ki Tanhaiyan
Farsh e Aza Ghar Me Bichhaane Lage
Taari Abhi Se Hua Hai Shab e Zarbat Ka Gham
Majlisain Ghar Ghar Bapa Hogayeen Ya Sayyadi
Nikle Juloos e Aza Aaj Gali Dar Gali
Aapke Gham Me Huwa Saara Jahan Matami
Aayi Sada Ye Dar o Deewar Se
Haye Wo Uneesween Ayi Jo Gham Ki Sahar
Ki Bine Muljim Ne Jab Zulm Ki Had Aap Par
Tegh e Sitam Chal Gayi Hogaya Do Para Sar
Kehte They Jibreel Bhi Rote Huay
Shabbar o Shabbir Jab Aap Ko Le Aye Ghar
Bibiyan Rone Lagin Seena o Sar Peet Kar
Koh e Alam Gir Para Aaj To Sadat Par
Zainab o Kulsoom Ke Ye Bain The
Saamne Taboot Ka Agaya Samaan Jab
Badhne Laga Aur Bhi Seene Me Ranj o Taab
Dil Kahe Besaakhta Haye Ameer e Arab
Baat Yahi Khoon Rulaye Mujhe
Mesum o Mazher Bhi Hain Barsar e Farsh e Aza
Aapke Ghar Waalo Ko Dono Ne Pursa Diya
Aapke Taboot Par Hamne Ye Noha Padha
Dard Me Doobe Huay Ash’aar Se











