Akeli Zahra Lyrics - Shahid Baltistani
Let’s Check Out The Akeli Zahra Lyrics, Recited by Shahid Baltistani. It is a New Noha of the Year 2022. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mohsin Jaffri.
Title
Akeli Zahra
Recited By
Written By
Mohsin Jaffri
Akeli Zahra Lyrics in English
Kalma Goyon Mein Hoi Haye Akeli Zahra
Sar e Darbar Gayi Baba Jhutlai Gayi Aap Ki Beti Zahra
Kalma Goyon Mein Hoi Haye Akeli Zahra
Kar Ke Tehreer Ke Tukray Mujhe Lautaya Gaya
Mere Masoom Gawahon Ko Bhi Jhutlaya Gaya
Qehqahey Sunti Rahi Our Sand Chunti Rahi Aap Ki Sachi Zahra
Jis Ghali Mein Mujhe Zalim Ne Tamacha Mara
Jeetay Jee Mera Hasan Phir Na Wahan Se Guzra
Woh Na Bholay Ga Kabhi Oss Se Dekhi Na Gayi Khak Pe Girti Zahra
Zakhm Pehlu Ka Tu Bachoon Se Chupaya Baba
Par Yeh Sadma Mujhe Turbat Mein Bhi Tarpaye Ga
Jab Tamachay Khaye Dekha Bachoon Ne Mere Rook Na Payi Zahra
Aap Ki Zahra Thi Jaltay Hoye Dar Ke Neechay
Our Hanstay Hoye Oss Par Se Musalmaan Guzrey
Thokarein Khati Rahi Ya Ali Kehti Rahi Baba Tumhari Zahra
Pasliyaan Toot Ke Uljhi Hain Kuch Aisay Baba
Sans Leti Hoon Tu Dukhta Hai Kaleja Mera
Hai Shikasta Bazu Kar Nahi Sakti Raku Zakhmi Hai Itni Zahra
Mujh Se Kehne Lagi Zainab Aye Zaeefa BiBi
Yeh Hai Konain Ki Malka Ka Musalla BiBi
Aisi Halat Thi Meri Woh Na Pehchan Saki Samne Bethi Zahra
Meekh Jaltay Hoye Darwazay Ki Jab Surkh Hoi
Mere Pehlu Se Woh Mohsin Ke Badan Mein Utari
Haye Dam Toor Gaya Woh Mujhe Chor Gaya Zindah Hai Phir Bhi Zahra
Qabar e Zahra Ki Khamoshi Yeh Boka Karti Hai
Mera Mohsin Hai Jo Parday Mein Mera Mehdi Hai
Ab Fidak Ki Khatir Apne Haq Ki Khatir Kuch Na Kahey Gi Zahra
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon