Mah E Aza Lo Namodar Hua Lyrics - Mir Qasim Mir
Let’s Check Out The Mah E Aza Lo Namodar Hua Lyrics, Recited by Mir Qasim Mir & Mir Hasan Mir. It is a New Noha of the Year 2024. Its Beautiful Lyrics Are Written By Mir Takallum.
Title
Mah E Aza Lo Namodar Hua
Recited By
Written By
Mir Takallum
Mah E Aza Lo Namodar Hua Lyrics in English
Arsh Ke Tare Hussain
Zahra Ke Pyare Hussain
Tum Ho Hamare Hussain
Hum Hain Tumhare Hussain
Mah e Azza Lo Namodar Howa
Ghar Mein Mere Bichh Gaya Farsh e Azza
Jan o Dil e Fatima Badshah e Karbala
Ban Gaya Mehmaan Mera
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Mah e Azza Lo Namodar Howa
Ghar Mein Mere Bichh Gaya Farsh e Azza
Falak Pe Phir Se Muharram Ka Chand Nikla Hai
Hussain Walon Ne Kala Libas Pehna Hai
Kahin Pe Noha Kahin Par Sada e Giriya Hai
Shah Alaik Salam Aye Mere Bekas Imam
Aap Pe Sab Kuch Fida
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Mah e Azza Lo Namodar Howa
Ghar Mein Mere Bichh Gaya Farsh e Azza
Kissi Ke Hath Mein Abbas Ka Alam Hoga
Koi Uthaye Ga Taboot Ibn e Zahra Ka
Kahin Se Taziya, Jhola Kahin Se Nikle Ga
Hogi Qayamat Bapa Roein Gay Ahl e Azza
Shoor Hai Ashor Ka
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Mah e Azza Lo Namodar Howa
Ghar Mein Mere Bichh Gaya Farsh e Azza
Gali Gali Mein Sabeelon Ka Ahtamam Hai Phir
Dilon Ki Pyas Bhujane Ka Intezam Hai Phir
Kahin Pe Zahra Ka Jari Labon Pe Naam Hai Phir
Aa Ke Sabeelon Ke Pas Jo Bhi Bhojata Hai Pyas
Deta Hai Dil Se Sada
Mujrai Jab Keh Ayyaan Mah e Azza Hota Hai
Arsh Par Matam e Shah e Shohda Hota Hai
Har Anjuman Mein Hai Seena Zani Ki Teyari
Naye Kalaam Hai Sab Ki Zaban Par Jari
Qadeem Tarz Pe Hoti Hai Phir Azadari
Taziya Khane Khule Matami Shane Khule
Hota Hai Matam Bapa
Be Abi Anta Wa Ummi Ya Hussain
Kehta Hai Har Dil Yehi Hoon Mere Maa Baap Bhi
Aap Pe Maula Fida
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Mah e Azza Lo Namodar Howa
Ghar Mein Mere Bichh Gaya Farsh e Azza
Tabarkaat Ke Sandooq Laye Jate Hain
Alam Pe Patke Pharere Sajaye Jate Hain
Sabeelein Lagti Hain Saqqe Banaye Jate Hain
Le Ke Shaheedon Ke Naam Bharte Hain Pani Ke Jaam
Dete Hain Pyase Dua
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Haye Hussaina Haye Hussaina Haye Hussaina Haye Hussaina
Karo Hussain Ka Matam Karo Azadari
Furat Aankhon Se Jari Ho Aaise Ashkon Ki
Keh Khali Hath Na Jaye Rasool Ki Beti
Hath Mein Romal Hai Maa Ka Ajab Haal Hai
Detin Hain BiBi Dua
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Mah e Azza Lo Namodar Howa
Ghar Mein Mere Bichh Gaya Farsh e Azza
Alam Pe Mashk e Sakina Saja Ke Rote Hain
Kissi Ko Dhop Mein Pani Pila Ke Rote Hain
Kabhi Kissi Ko Tabaruk Khila Ke Rote Hain
Naam Idhar Aa Gaya Syed e Mazloom Ka
Aankh Se Darya Baha
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Mah e Azza Lo Namodar Howa
Ghar Mein Mere Bichh Gaya Farsh e Azza
Hoye Hain Khalq Takallum Hum Iss Azza Ke Liye
Hamari Qaum Ke Bache Ghulam Asghar Ke
Jawan Sab Ali Akbar Ke Naam Par Sadqe
Taba Zahoor e Imam Roein Ge Ye Khas o Aam
Wadah Hai Iss Qaum Ka
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Hussain Hussain
Be Watan Haye Hussaina
Be Kafan Haye Hussaina
Be Khata Haye Hussaina
Be Nawan Haye Hussaina
Found a mistake? Just select the incorrect part and click on the report button to provide the correction. We will replace it.
Support Our Work
Join us on Patreon and help us continue creating great content.
Support Us On Patreon