Mir Hasan Mir
Sibt e Jaffar
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Imam Se Lau Lagaye Rakhna
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Haram Pe Nazrein Jamaye Rakhna
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Charag e Ulfat Jalaye Rakhna
Hai Inteqam e Hussain Baqi Woh Aane Wala Hisab Le Ga
Aqeeda Apna Darust Rakhna Jo Unn Ki Nusrat Ki Hai Tamana
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Amal Ko Bhi Aazmaye Rakhna
Na Neend Aaye Na Ongh Aaye Rakho Har Ik Par Nazar Jamaye
Dil o Nazar Se Keh Samarra Se Na Jane Kis Rastay Se Aaye
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Har Aik Rasta Sajay Rakhna
Na Hub e Dunya Se Kuch Ilaqa Na Ghair Se Rah o Rasam Rakhna
Tumhari Dolat Hai Ilm o Taqwa Karey Ga Dajjal Oss Pe Hamla
Hawari Esa Ke Sath Hoon Gay Mawali Maula Ke Sath Hoon Gay
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Mowaliyon Se Banaye Rakhna
Siwaye Chand Aik Zahoor Ki Sab Alamatein Pori Ho Chuki Hain
Baseerat o Marifat Tumhari Adoye Haq Ko Khatak Rahi Hain
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Dil o Nazar Ko Bachaye Rakhna
Naye Naye Nagma Haye Midhat Jo Roz Keh Keh Ke La Rahe Ho
Paye Ziyarat Jo Sibt e Jafar Imam Ke Dar Pe Aa Paray Ho
Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Tum Apna Bistar Lagaye Rakhna