Mesum Abbas
Mazhar Abidi
Ye Noor Barsne Ke Din Hain
Taqdeer Badalne Ke Din Hain
Yeh Din Hain Yaad E Ellahi Ke
Imaan Parkhne Ke Din Hain
ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH
Mah E Ramzan Aya, Mah E Ramzan Aya
Le Kar Quran Aaya Mah E Ramzan Aya
Rehmat Ka Hai Yeh Maheena
Hurmat Ka Hai Yeh Maheena
Karni Hai Khoob Ibadat
Izzat Ka Hai Yeh Maheena
Nafrat Ko Dil Se Mita Do
Ulfate Ka Hai Yeh Maheena
Sehar O Iftaar Karna
Ab Sab Se Pyar Karna
Hukum e Subhan Aaya
Mah E Ramzan Aya
Mashaallah Subhanallah
ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH
Mah E Ramzan Aya, Mah E Ramzan Aya
Le Kar Quran Aaya Mah E Ramzan Aya
Rozon Ki Barket Aayi
Ghar Ghar Mein Nemat Layi
Rab Se Jo Doori The Unn Ko
Masjid Ki Raah Dikhai
Khoshion Ka Aik Bahana
Bachon Ki Roza Kushai
Kis Darja Rehmaton Ko
Le Kar Sab Nematon Ko
Yeh Dustar Khawan Aaya
Mah E Ramzan Aya
Mashaallah Subhanallah
Mah E Ramzan Aya, Mah E Ramzan Aya
Le Kar Quran Aaya Mah E Ramzan Aya
Khud Ko Har Raat Jagana
Masjid Mein Waqt Bitana
Chhoote Bhai Behnoon Ko
Subah Quran Parha Na
Aankhon Ko Aur Zuba Ko
Haq Ke Raste Pe Chalana
Sach Hai Yeh Koi Nahi Shak
Yani Ke Tees (30) Dinon Tak
Ghar Mein Mehman Aaya
Mah E Ramzan Aya
Mashaallah Subhanallah
ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH
Mah E Ramzan Aya, Mah E Ramzan Aya
Le Kar Quran Aaya Mah E Ramzan Aya
Allah Ko Yaad Karna
Dil Se Faryaad Karna
Muflis Aur Bekason Ki
Khul Kar Imdaad Karna
Yeh Hai Pegham Kkhuda Ka
Dukhiyon Ko Shaad Karna
Roohein Pakeeza Banayen
Lab Par Ayaat Sajayein
Dil Mein Rehman Aaya
Mah E Ramzan Aya
Mashaallah Subhanallah
Mah E Ramzan Aya, Mah E Ramzan Aya
Le Kar Quran Aaya Mah E Ramzan Aya
Naat E Sarkar Do Alam
Hogi Har Subah Muqaddam
Laila Tul Qadar Manayeen
Shab Bhar Aamaal Karen Hum
Phir Dekhen Chaand Fallak Par
Khusihyan Hon Eid Ki Humdam
Khush Rang Malbos Banana
Yun Eid Ul Fittar Manana
Rab Ka Ahsaan Aaya
Mah E Ramzan Aya
Mashaallah Subhanallah
ALLAH ALLAH ALLAH
ALLAH ALLAH ALLAH
Mah E Ramzan Aya, Mah E Ramzan Aya
Le Kar Quran Aaya Mah E Ramzan Aya
Ishhq O Eesaar Ki Baatein
Dilkash Kirdaar Ki Baatein
Sun Ke Mesum Ki Zuba Se
Zikar E Sarkar Ki Baatein
Mazhar Duniya Ne Sunee Jab
Rab Ke Meyaar Ki Baatein
Jo Bhi Be Deen Tha Us Ka
Jo Bhi Ghamgeen Tha Us Ka
Rab Par Imaan Aaya
Mah E Ramzan Aya
Mashaallah Subhanallah
Mah E Ramzan Aya, Mah E Ramzan Aya
Le Kar Quran Aaya Mah E Ramzan Aya