Farhan Ali Waris
Akhtar Hussain Akhtar
Kabhi Khaali Hujron Mein
Kabhi Dehleez Par Jaa Kar
Sughra Ne Aansuon Ke Kitne Diye Jalaye
Ae Kaash Mera Kunba Wapas Watan Ko Aaye
Sughra Ne Aansuon Ke Kitne Diye Jalaye
Pardes Jane Wale Phir Laut Kar Na Aaye
Baithi Rahi Wo Dar Par Bas Aas Hi Lagaye
Jab Chaand Dekhti Hai Wo Eid Ka Falak Par
Kuchh Chaand Apne Ghar Ke Sughra Ko Yaad Aaye
Badhte Hi Ja Rahe Hain
Ranj O Alam Ke Saaye
Veeraan Ghar Mein Mujh Ko
Tanhaai Khaaye Jaaye
Wada Kiya Tha Mujh Se
Aaonga Lene Behna
Damaa Aa Gaya Labon Par
Bhaiya Magar Na Aaye
Pardes Jaa Ke Akbar Bhule Hain Apna Wada
Bhaiyya Ko Yaad Waada Ja Kar Koi Dilaaye
Akbar Se Jaa Ke Kehna Marti Hai Teri Sughra
Jab Karbala Ki Jaanib Yasrab Se Koi Aaye
Ro Ro Ke Eid Guzri No Roz Bhi Guzaara
Bichhde Hon Jiske Apne Wo Eid Kya Manaaye
Sughra Ne Khat Mein Likha Bekaar Hai Ye Jeena
Na Maut Aayi Mujh Ko Baba Na Aap Aaye
Shayad Mubahila Ki Phir Aa Pade Zarurat
Zahra Ki Betiyon Ko Shabbir Saath Laaye
Chehre Pe Ungliyon Ke Ab Tak Nishaan Hain Baaqi
Zindaan Mein Sakina Roti Hai Monh Chhupaye
Tum Ahl e Ashqiya Kya Quran Samajh Sako Ge
Akhtar Faqeer Ki Jo Batain Samajh Na Paaye








